qafas ko toD ke main baal-o-par bhi dekhunga
qafas ko toḌ ke maiñ bāl-o-par bhī dekhūñgā
jo bāl-o-par hoñ salāmat to ghar bhī dekhūñgā
phir is ke baad na kahnā sadā-ba-sahrā thī
maiñ apnī baat kā tujh par asar bhī dekhūñgā
yahāñ to sab hī purānī ravish pe chalte haiñ
maiñ ab banā ke na.ī rah-guzar bhī dekhūñgā
milūñgā tum se to māñgūñgā roz-o-shab kā hisāb
rahūñgā ghar meñ to phir bām-o-dar bhī dekhūñgā
maiñ ḳhush bahut thā bahāroñ ke darmiyāñ manzar
ḳhabar na thī ki ḳhizāñ kā guzar bhī dekhūñgā
qafas ko toD ke main baal-o-par bhi dekhunga
jo baal-o-par hon salamat to ghar bhi dekhunga
phir is ke baad na kahna sada-ba-sahra thi
main apni baat ka tujh par asar bhi dekhunga
yahan to sab hi purani rawish pe chalte hain
main ab bana ke nai rah-guzar bhi dekhunga
milunga tum se to mangunga roz-o-shab ka hisab
rahunga ghar mein to phir baam-o-dar bhi dekhunga
main KHush bahut tha bahaaron ke darmiyan manzar
KHabar na thi ki KHizan ka guzar bhi dekhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.