Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qafas nigal gaya kisi ko dar ne nigal liya

Haseebul Hasan

qafas nigal gaya kisi ko dar ne nigal liya

Haseebul Hasan

MORE BYHaseebul Hasan

    qafas nigal gayā kisī ko daar ne nigal liyā

    magar hameñ shab-e-firāq-e-yār ne nigal liyā

    tumhāre vāste huzūr hādisa hai aur bas

    ġharīb ghar ke āsare ko car ne nigal liyā

    hazār baar tujh se ye kahā thā mat hisāb kar

    hamāre pyaar ko miyāñ shumār ne nigal liyā

    hamī prem chañd kahāniyoñ ke log haiñ

    vo log jin umr ko udhār ne nigal liyā

    vo jin ko ḳhud pe maan thā kisī rizq ho ga.e

    shikāriyoñ ko ek din shikār ne nigal liyā

    hamāre ġham ġhazal hue to gungunā diye ga.e

    udāsiyoñ ke bain ko guitar ne nigal liyā

    tumhāre baad ham 'hasan' ḳhizāñ ke haath lag ga.e

    hamāre sabz jism ko bahār ne nigal liyā

    qafas nigal gaya kisi ko dar ne nigal liya

    magar hamein shab-e-firaq-e-yar ne nigal liya

    tumhaare waste huzur hadisa hai aur bas

    gharib ghar ke aasare ko car ne nigal liya

    hazar bar tujh se ye kaha tha mat hisab kar

    hamare pyar ko miyan shumar ne nigal liya

    hami prem chand ki kahaniyon ke log hain

    wo log jin ki umr ko udhaar ne nigal liya

    wo jin ko KHud pe man tha kisi ka rizq ho gae

    shikariyon ko ek din shikar ne nigal liya

    hamare gham ghazal hue to gunguna diye gae

    udasiyon ke bain ko guitar ne nigal liya

    tumhaare baad hum 'hasan' KHizan ke hath lag gae

    hamare sabz jism ko bahaar ne nigal liya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now