qafas pe barq gire aur chaman ko aag lage
qafas pe barq gire aur chaman ko aag lage
Ram Awtar Gupta Muztar
MORE BYRam Awtar Gupta Muztar
qafas pe barq gire aur chaman ko aag lage
ilāhī gardish-e-charḳh-e-kuhan ko aag lage
sulag rahī haiñ mire dil kī hasrateñ aise
bharī bahār meñ jaise chaman ko aag lage
har ek qatra-e-shabnam banā hai añgāra
ajab nahīñ jo gul-e-yāsman ko aag lage
na poñchh ashk mire dekh apne dāman se
ḳhudā kare na tire pairahan ko aag lage
qasam hai ham ko tirī chashm-e-mast kī saaqī
piyeñ sharāb to kām-o-dahan ko aag lage
nasīb hoñ na jahāñ tā.eroñ ko do tinke
ḳhudā kare ki ab aise chaman ko aag lage
qafas pe barq gire aur chaman ko aag lage
ilahi gardish-e-charKH-e-kuhan ko aag lage
sulag rahi hain mere dil ki hasraten aise
bhari bahaar mein jaise chaman ko aag lage
har ek qatra-e-shabnam bana hai angara
ajab nahin jo gul-e-yasman ko aag lage
na ponchh ashk mere dekh apne daman se
KHuda kare na tere pairahan ko aag lage
qasam hai hum ko teri chashm-e-mast ki saqi
piyen sharab to kaam-o-dahan ko aag lage
nasib hon na jahan taeron ko do tinke
KHuda kare ki ab aise chaman ko aag lage
- Book : Safeer-e-akhir-e-shab(Poetry) (Pg. 61)
- Author : Ram avtar gupta ''muztar''
- Publication : Takhleeqkar Publishers (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.