qafas se guzarna hai lazim saba ko chaman mein koi gul khilane se pahle
qafas se guzarna hai lazim saba ko chaman mein koi gul khilane se pahle
Naseem Ansari
MORE BYNaseem Ansari
qafas se guzarnā hai lāzim sabā ko chaman meñ koī gul khilāne se pahle
hai sayyād kī bhī ijāzat zarūrī yahāñ āshiyāna banāne se pahle
mire paañv meñ aable paḌ chuke haiñ magar maiñ ne kāñToñ se va.ada kiyā hai
ki har aable meñ lahū sīñch dūñgā maiñ thak-hār kar baiTh jaane se pahle
ka.ī maqbaroñ par bhī khilte haiñ gul to ye gulshan kī jāgīr hargiz nahīñ haiñ
magar tum ne shāyad ye sochā na hogā inheñ gesūoñ meñ sajāne se pahle
baḌe be-bharosa haiñ din-rāt saare tumhāre liye ab munāsib yahī hai
bahar-sū ujāloñ kī tasdīq kar lo charāġh-e-sahar ko bujhāne se pahle
mujhe yaad aayā ki ik gul chaman meñ khilā thā to shabnam ke qatre bahe the
maiñ hañstā huuñ rone se pahle hamesha maiñ rotā huuñ ab muskurāne se pahle
jahāñ thartharāte the paañv havā ke vahāñ ḳhaak uḌtī hai har samt ab to
zarā qasr-e-shāhī kī jānib bhī dekho sitam in ġharīboñ pe Dhāne se pahle
qafas se guzarna hai lazim saba ko chaman mein koi gul khilane se pahle
hai sayyaad ki bhi ijazat zaruri yahan aashiyana banane se pahle
mere panw mein aable paD chuke hain magar main ne kanTon se wada kiya hai
ki har aable mein lahu sinch dunga main thak-haar kar baiTh jaane se pahle
kai maqbaron par bhi khilte hain gul to ye gulshan ki jagir hargiz nahin hain
magar tum ne shayad ye socha na hoga inhen gesuon mein sajaane se pahle
baDe be-bharosa hain din-raat sare tumhaare liye ab munasib yahi hai
bahar-su ujalon ki tasdiq kar lo charagh-e-sahar ko bujhane se pahle
mujhe yaad aaya ki ek gul chaman mein khila tha to shabnam ke qatre bahe the
main hansta hun rone se pahle hamesha main rota hun ab muskurane se pahle
jahan thartharaate the panw hawa ke wahan KHak uDti hai har samt ab to
zara qasr-e-shahi ki jaanib bhi dekho sitam in gharibon pe Dhane se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.