qahqahon mein baDi udasi hai
qahqahoñ meñ baḌī udāsī hai
kyā yahī chiiz ḳhud-shanāsī hai
qābil-e-dād ḳhush-libāsī hai
she'r taaza hai fikr baasī hai
aur ye bel baḌhne mat denā
aaj nārāzgī zarā sī hai
mujh ko hāsil hai ek aisā dost
jo zarūrat se kam siyāsī hai
mustaqil aañkh meñ samundar hai
mustaqil aañkh phir bhī pyāsī hai
is liye saañp paal rakkhe haiñ
hājat-e-zahr achchhī ḳhāsī hai
ab ġhazal itnī ho chukī hai jadīd
ab ġhazal 'mīr' kī navāsī hai
qahqahon mein baDi udasi hai
kya yahi chiz KHud-shanasi hai
qabil-e-dad KHush-libasi hai
she'r taza hai fikr basi hai
aur ye bel baDhne mat dena
aaj naraazgi zara si hai
mujh ko hasil hai ek aisa dost
jo zarurat se kam siyasi hai
mustaqil aankh mein samundar hai
mustaqil aankh phir bhi pyasi hai
is liye sanp pal rakkhe hain
hajat-e-zahr achchhi KHasi hai
ab ghazal itni ho chuki hai jadid
ab ghazal 'mir' ki nawasi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.