qaid hue jo log apni man-mani mein
qaid hue jo log apnī man-mānī meñ
dekh rahe haiñ dushvārī āsānī meñ
ilm sahīfa kyā de paḌhne vāloñ ko
vaqt to guzrā sirf varaq-gardānī meñ
aag meñ jhoñkeñge vo apnī mehnat ko
raa.ī kī khetī jo karte haiñ paanī meñ
pāñch pahar kī sajda-rezī hai lekin
nūr-kushā āsār nahīñ peshānī meñ
ġharq vo hogā dariyā meñ yā tairegā
pheñk ke pahle patthar dekho paanī meñ
gupt dhanoñ kā haal batāyā choroñ ko
log vahī jo chaukas the nigarānī meñ
aañkh khulī jo sub.h savere to 'nādim'
ghor añdherā bhī dekhā tābānī meñ
qaid hue jo log apni man-mani mein
dekh rahe hain dushwari aasani mein
ilm sahifa kya de paDhne walon ko
waqt to guzra sirf waraq-gardani mein
aag mein jhonkenge wo apni mehnat ko
rai ki kheti jo karte hain pani mein
panch pahar ki sajda-rezi hai lekin
nur-kusha aasar nahin peshani mein
gharq wo hoga dariya mein ya tairega
phenk ke pahle patthar dekho pani mein
gupt dhanon ka haal bataya choron ko
log wahi jo chaukas the nigarani mein
aankh khuli jo subh sawere to 'nadim'
ghor andhera bhi dekha tabani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.