qaid jab hum pe lagi wusat-e-daman ke liye
qaid jab ham pe lagī vus.at-e-dāmāñ ke liye
kitnī kasrat se khile phuul gulistāñ ke liye
vo munājāteñ kahāñ haiñ tire ehsāñ ke liye
kasrat-e-shauq nahīñ ālam-e-hirmāñ ke liye
jaise har husn se mumtāz hai vo husn tamām
ham haiñ e.azāz ke qābil nahīñ jānāñ ke liye
qār.īn-e-nigah-e-nāz hī samjhe vo ḳhat
surḳh Doroñ meñ jo tahrīr hai armāñ ke liye
riñd laa.e mai-o-sāġhar kī hasīñ tashbīheñ
isti.āra nigah-e-husn thī paikāñ ke liye
ḳhauf kyā ho rah-e-tārīk-e-bayābāñ kā hameñ
kam nahīñ kirmak-e-shab-tāb charāġhāñ ke liye
ashk-e-ġham roke raheñ fāqa-guzāroñ se kaho
paanī gulḳhan se chalā nuuh ke tūfāñ ke liye
kī na jab ahl-e-siyāsat ne sitam se tauba
ham utāre ga.e is qaum-e-bad-unvāñ ke liye
dar jahān-e-gul-e-be-ḳhār nachīdast kase
ġham na kar 'mānī'-e-nashtar-kash-e-daurāñ ke liye
qaid jab hum pe lagi wusat-e-daman ke liye
kitni kasrat se khile phul gulistan ke liye
wo munajaten kahan hain tere ehsan ke liye
kasrat-e-shauq nahin aalam-e-hirman ke liye
jaise har husn se mumtaz hai wo husn tamam
hum hain eazaz ke qabil nahin jaanan ke liye
qarin-e-nigah-e-naz hi samjhe wo KHat
surKH Doron mein jo tahrir hai arman ke liye
rind lae mai-o-saghar ki hasin tashbihen
istiara nigah-e-husn thi paikan ke liye
KHauf kya ho rah-e-tarik-e-bayaban ka hamein
kam nahin kirmak-e-shab-tab charaghan ke liye
ashk-e-gham roke rahen faqa-guzaron se kaho
pani gulKHan se chala nuh ke tufan ke liye
ki na jab ahl-e-siyasat ne sitam se tauba
hum utare gae is qaum-e-bad-unwan ke liye
dar jahan-e-gul-e-be-KHar nachidast kase
gham na kar 'mani'-e-nashtar-kash-e-dauran ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.