qaid kar le hazar talon mein
qaid kar le hazār tāloñ meñ
ham nahīñ zulm sahne vāloñ meñ
ab añdheroñ se Dar nahīñ lagtā
qatl hote haiñ ham ujāloñ meñ
pal meñ bas niiñd aa ga.ī mujh ko
maañ ne pherā jo haath bāloñ meñ
us ne shāna hilā ke yuuñ pūchhā
kho.e haiñ aap kin ḳhayāloñ meñ
vo ghuTāloñ kī jāñch kartā hai
kal jo shāmil thā ḳhud ghuTāloñ meñ
surḳh chehra batā rahā hai yahī
chuTkī letā hai koī gāloñ meñ
ab muḳhālif vahī hai merā 'kashish'
jo thā mere gharāne vāloñ meñ
qaid kar le hazar talon mein
hum nahin zulm sahne walon mein
ab andheron se Dar nahin lagta
qatl hote hain hum ujalon mein
pal mein bas nind aa gai mujh ko
man ne phera jo hath baalon mein
us ne shana hila ke yun puchha
khoe hain aap kin KHayalon mein
wo ghuTalon ki jaanch karta hai
kal jo shamil tha KHud ghuTalon mein
surKH chehra bata raha hai yahi
chuTki leta hai koi galon mein
ab muKHalif wahi hai mera 'kashish'
jo tha mere gharane walon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.