qaid karna hai sayyaad kar shauq se shaKH-e-gul par mera aashiyan chhoD de
qaid karna hai sayyaad kar shauq se shaKH-e-gul par mera aashiyan chhoD de
Ishrat Jahangirpuri
MORE BYIshrat Jahangirpuri
qaid karnā hai sayyād kar shauq se shāḳh-e-gul par mirā āshiyāñ chhoḌ de
ik taḌapte hue dil kī āvāz hai merī mehnat na kar rā.egāñ chhoḌ de
nāḳhudā dekh kar ye tarīq-e-jafā kahiye insāf se dil pe guzregī kyā
lā ke koī safīna agar aap kā 'ain tūfāñ meñ ai mehrbāñ chhoḌ de
ai shab-e-ġham tū vaqt-e-sahar chal to dī hai jo terī ḳhushī vo hamārī ḳhushī
roz-e-raushan meñ bhī dil bahaltā rahe koī aisā ik apnā nishāñ chhoḌ de
phūñknā hai agar phūñk de gulsitāñ pūchhtī hai 'abas vaj.h-e-āh-o-fuġhāñ
merā sarmāya-e-zindagī haiñ yahī chaar tinke hī barq-e-tapāñ chhoḌ de
har qadam par mile haiñ fareb-e-hasīñ hai gavārā bahar-hāl shikva nahīñ
phir ye mumkin hai kaise batā nāsehā merā dil manzil-e-imtihāñ chhoḌ de
sahn-e-gulshan meñ ho laakh jaur-o-jafā har qadam par sazā bhī mile be-ḳhatā
phir bhī mumkin nahīñ bulbul-e-ḳhush-navā apnā maḳhsūs rang-e-bayāñ chhoḌ de
chāhtā huuñ ki 'ishrat' junūn-e-vafā har qadam par rahe merā mushkil-kushā
marhale 'ishq ke saḳht dushvār haiñ kyā ḳhabar saath hastī kahāñ chhoḌ de
qaid karna hai sayyaad kar shauq se shaKH-e-gul par mera aashiyan chhoD de
ek taDapte hue dil ki aawaz hai meri mehnat na kar raegan chhoD de
naKHuda dekh kar ye tariq-e-jafa kahiye insaf se dil pe guzregi kya
la ke koi safina agar aap ka 'ain tufan mein ai mehrban chhoD de
ai shab-e-gham tu waqt-e-sahar chal to di hai jo teri KHushi wo hamari KHushi
roz-e-raushan mein bhi dil bahalta rahe koi aisa ek apna nishan chhoD de
phunkna hai agar phunk de gulsitan puchhti hai 'abas wajh-e-ah-o-fughan
mera sarmaya-e-zindagi hain yahi chaar tinke hi barq-e-tapan chhoD de
har qadam par mile hain fareb-e-hasin hai gawara bahar-haal shikwa nahin
phir ye mumkin hai kaise bata naseha mera dil manzil-e-imtihan chhoD de
sahn-e-gulshan mein ho lakh jaur-o-jafa har qadam par saza bhi mile be-KHata
phir bhi mumkin nahin bulbul-e-KHush-nawa apna maKHsus rang-e-bayan chhoD de
chahta hun ki 'ishrat' junun-e-wafa har qadam par rahe mera mushkil-kusha
marhale 'ishq ke saKHt dushwar hain kya KHabar sath hasti kahan chhoD de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.