qaid meñ rahte haiñ jab tak bhī jiye jaate haiñ
halqe zanjīr ke phir toḌ diye jaate haiñ
raunaqeñ chāñd sitāroñ kī liye jaate haiñ
chāñdnī raat ko be-nūr kiye jaate haiñ
ye tabassum na sahī husn kī sauġhāt sahī
dard ko ek chamak aur diye jaate haiñ
ḳhaak hone pe bhī kam hotā nahīñ jazba-e-ishq
raushnī sham.a kī parvāne liye jaate haiñ
surḳh āñkhoñ se Tapak kar ye gulābī aañsū
mere dāman ko bhī rañgīn kiye jaate haiñ
Duub jaatī hai savere hī se sūraj kī kiran
jab sar-e-shām charāġhoñ ke diye jaate haiñ
jin ko duniyā meñ sambhalne kī ijāzat na milī
zindagī bhar ke vo armān liye jaate haiñ
zindagī merī to gintī hai garebāñ ke shigāf
aap kyoñ dāman-e-hastī ko siye jaate haiñ
sāqiyā riñd to mohtāt haiñ majbūr nahīñ
aks mai-ḳhāna kā āñkhoñ meñ liye jaate haiñ
'fazl' aa.iin mohabbat kā badalne ke liye
ahl-e-dil kis liye majbūr kiye jaate haiñ
qaid mein rahte hain jab tak bhi jiye jate hain
halqe zanjir ke phir toD diye jate hain
raunaqen chand sitaron ki liye jate hain
chandni raat ko be-nur kiye jate hain
ye tabassum na sahi husn ki saughat sahi
dard ko ek chamak aur diye jate hain
KHak hone pe bhi kam hota nahin jazba-e-ishq
raushni shama ki parwane liye jate hain
surKH aankhon se Tapak kar ye gulabi aansu
mere daman ko bhi rangin kiye jate hain
Dub jati hai sawere hi se suraj ki kiran
jab sar-e-sham charaghon ke diye jate hain
jin ko duniya mein sambhalne ki ijazat na mili
zindagi bhar ke wo arman liye jate hain
zindagi meri to ginti hai gareban ke shigaf
aap kyon daman-e-hasti ko siye jate hain
saqiya rind to mohtat hain majbur nahin
aks mai-KHana ka aankhon mein liye jate hain
'fazl' aain mohabbat ka badalne ke liye
ahl-e-dil kis liye majbur kiye jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.