qaid se bahar main aana chahta hun
qaid se bāhar maiñ aanā chāhtā huuñ
aaj phir se muskurānā chāhtā huuñ
raat ho kitnī hī kaalī ḳhatm hogī
is ġhazal meñ ye batānā chāhtā huuñ
maiñ bhale bebas huuñ lekin tū nahīñ hai
phir tirī chaukhaT pe aanā chāhtā huuñ
kaash mil jaa.eñ purāne yaar phir se
phir purāne giit gaanā chāhtā huuñ
maiñ ne apnī jaan kī baazī lagā dī
haar kar tujh ko harānā chāhtā huuñ
jā nikal jā 'ishq ab tū dil se mere
tujh se maiñ pīchhā chhuḌānā chāhtā huuñ
ab na ghar TuuTe kisī 'āshiq kā maulā
maiñ bas apnā ghar basānā chāhtā huuñ
qaid se bahar main aana chahta hun
aaj phir se muskurana chahta hun
raat ho kitni hi kali KHatm hogi
is ghazal mein ye batana chahta hun
main bhale bebas hun lekin tu nahin hai
phir teri chaukhaT pe aana chahta hun
kash mil jaen purane yar phir se
phir purane git gana chahta hun
main ne apni jaan ki bazi laga di
haar kar tujh ko harana chahta hun
ja nikal ja 'ishq ab tu dil se mere
tujh se main pichha chhuDana chahta hun
ab na ghar TuTe kisi 'ashiq ka maula
main bas apna ghar basana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.