qais-e-sahra-nashin se le aao
qais-e-sahrā-nashīñ se le aao
ishq mujh sā kahīñ se le aao
chāñd kahtā thā āsmānoñ par
nuur merā zamīñ se le aao
un ke nāzuk laboñ ko chhū jaa.e
aisā jhoñkā kahīñ se le aao
raqs kartā rahe jo hoñToñ par
aisā misra kahīñ se le aao
ham manā.eñ to maan jā.eñge
un ko jā kar kahīñ se le aao
ḳhaak jin kī hayāt kā sāmāñ
ek chuTkī unhīñ se le aao
hai tamannā 'ovais' ke sar kī
ek patthar vahīñ se le aao
qais-e-sahra-nashin se le aao
ishq mujh sa kahin se le aao
chand kahta tha aasmanon par
nur mera zamin se le aao
un ke nazuk labon ko chhu jae
aisa jhonka kahin se le aao
raqs karta rahe jo honTon par
aisa misra kahin se le aao
hum manaen to man jaenge
un ko ja kar kahin se le aao
KHak jin ki hayat ka saman
ek chuTki unhin se le aao
hai tamanna 'owais' ke sar ki
ek patthar wahin se le aao
- Book : al-aqraba magazine islamabad Pakistan quarterly-July-september-2015 (Pg. (شائع شدہ سہ ماہی الاقرباء اسلام آباد پاکستان شمارہ جولائی .ستمبر ۲۰۱۵))
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.