Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qais ka ishq mere ishq ka meyar nahin

Tahir Saood Kiratpuri

qais ka ishq mere ishq ka meyar nahin

Tahir Saood Kiratpuri

MORE BYTahir Saood Kiratpuri

    qais 'ishq mire 'ishq me'yār nahīñ

    sirf lailā.ī thā vo maañ vafādār nahīñ

    'ishq meñ vo hai mirā peshvā ai qais-mizāj

    jis ke kirdār ke jaisā koī kirdār nahīñ

    tere māñ-bāp 'izzat hai mujhe tujh se 'azīz

    aisā hargiz na samajh tujh se mujhe pyaar nahīñ

    terī āñkhoñ se chhalakte hue ashkoñ qasam

    koī duniyā meñ tirā mujh talabgār nahīñ

    ghar dīvāreñ gulāboñ se munaqqash haiñ

    vo kiyā hai chaman ījād jahāñ ḳhaar nahīñ

    abhī fe se bhī bahut duur ho fankārī ke

    abhī dā'vā na karo tum abhī fankār nahīñ

    fat.h se qabl tujhe hogī ka.ī baar shikast

    itnī āsān to ai haar mirī haar nahīñ

    sarqa-bāzī pe bhī milte haiñ unheñ surḳh gulāb

    naam me'yār hai ab daad ash'ār nahīñ

    us ne vo pyaar jo ḳhairāt meñ baḳhshā thā 'sa'ūd'

    anginat baar jatāyā koī ik baar nahīñ

    qais ka 'ishq mere 'ishq ka me'yar nahin

    sirf lailai tha wo man ka wafadar nahin

    'ishq mein wo hai mera peshwa ai qais-mizaj

    jis ke kirdar ke jaisa koi kirdar nahin

    tere man-bap ki 'izzat hai mujhe tujh se 'aziz

    aisa hargiz na samajh tujh se mujhe pyar nahin

    teri aankhon se chhalakte hue ashkon ki qasam

    koi duniya mein tera mujh sa talabgar nahin

    ghar ki diwaren gulabon se munaqqash ki hain

    wo kiya hai chaman ijad jahan KHar nahin

    abhi fe se bhi bahut dur ho fankari ke

    abhi da'wa na karo tum abhi fankar nahin

    fath se qabl tujhe hogi kai bar shikast

    itni aasan to ai haar meri haar nahin

    sarqa-bazi pe bhi milte hain unhen surKH gulab

    nam me'yar hai ab dad ka ash'ar nahin

    us ne wo pyar jo KHairaat mein baKHsha tha 'sa'ud'

    anginat bar jataya koi ek bar nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now