qais ke jaisa junun hai kab kisi ke yar mein
qais ke jaisā junūñ hai kab kisī ke yaar meñ
aks-e-lailā DhūñDte haiñ phir bhī sab dildār meñ
dar-ba-dar kī Thokareñ us kā muqaddar ban ga.iiñ
raas na aa.ī kabhī jis ko bhalā.ī yaar meñ
pyaar ke māroñ ye ahl-e-zauq kī bastī hai yaañ
mashvare achchhe milā karte haiñ aksar pyaar meñ
fāsla nazdīkiyoñ meñ yuuñ simaT kar aa gayā
chāshnī urdu kī thī yaaro mirī guftār meñ
ishq ke ādāb bhī sīkhe to aise shaḳhs se
jo utartā hī nahīñ thā ishq ke me.aar meñ
rāh-e-ulfat meñ sabhī ye jānte haiñ ḳhuub hī
kuchh nahīñ rakkhā hai āshiq ke liye iz.hār meñ
aa.ina jis ne bhalā ḳhud hī na dekhā ho kabhī
vo kamī ko DhūñDhtā phirtā hai kyoñ aġhyār meñ
ik divāna jhuum kar 'hassān' kahtā thā yahī
māñgne vaalo salīqa sīkho kū-e-yār meñ
qais ke jaisa junun hai kab kisi ke yar mein
aks-e-laila DhunDte hain phir bhi sab dildar mein
dar-ba-dar ki Thokaren us ka muqaddar ban gain
ras na aai kabhi jis ko bhalai yar mein
pyar ke maron ye ahl-e-zauq ki basti hai yan
mashware achchhe mila karte hain aksar pyar mein
fasla nazdikiyon mein yun simaT kar aa gaya
chashni urdu ki thi yaro meri guftar mein
ishq ke aadab bhi sikhe to aise shaKHs se
jo utarta hi nahin tha ishq ke mear mein
rah-e-ulfat mein sabhi ye jaante hain KHub hi
kuchh nahin rakkha hai aashiq ke liye izhaar mein
aaina jis ne bhala KHud hi na dekha ho kabhi
wo kami ko DhunDhta phirta hai kyon aghyar mein
ek diwana jhum kar 'hassan' kahta tha yahi
mangne walo saliqa sikho ku-e-yar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.