qalam kabaad mein de di kitab raddi mein
qalam kabāḌ meñ de dī kitāb raddī meñ
faroḳht kar diye āñkhoñ ne ḳhvāb raddī meñ
ajab nahīñ jo mirā harf bhī hai be-tauqīr
suḳhan paḌe haiñ yahāñ be-hisāb raddī meñ
kuchh is tarah diyā tartīb āqibat kā ghar
gunāh shelf pe rakkhe savāb raddī meñ
mahak rahe haiñ ajab taur fāltū kāġhaz
kisī ne pheñke hoñ jaise gulāb raddī meñ
maiñ ab kī baar jo aḳhbār pheñkne ko gayā
ajab dikhā.ī diyā iztirāb raddī meñ
hayāt-o-maut ke radd-o-qubūl meñ hai jo piir
guzārā kuuḌe pe bachpan shabāb raddī meñ
tamām shahr meñ 'tāriq' baḌī talāsh ke baad
maiñ ḳhud ko ho hī gayā dastiyāb raddī meñ
qalam kabaD mein de di kitab raddi mein
faroKHt kar diye aankhon ne KHwab raddi mein
ajab nahin jo mera harf bhi hai be-tauqir
suKHan paDe hain yahan be-hisab raddi mein
kuchh is tarah diya tartib aaqibat ka ghar
gunah shelf pe rakkhe sawab raddi mein
mahak rahe hain ajab taur faltu kaghaz
kisi ne phenke hon jaise gulab raddi mein
main ab ki bar jo aKHbar phenkne ko gaya
ajab dikhai diya iztirab raddi mein
hayat-o-maut ke radd-o-qubul mein hai jo pir
guzara kuDe pe bachpan shabab raddi mein
tamam shahr mein 'tariq' baDi talash ke baad
main KHud ko ho hi gaya dastiyab raddi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.