qalam ki nok aur tirchhi nazar aaghaz hoti hai
qalam kī nok aur tirchhī nazar āġhāz hotī hai
mirī tanhā mizājī jab mirī hamrāz hotī hai
chale aa.e haiñ ham bhī dekhne us rang-e-mahfil ko
sukūt-e-shab jahāñ yaaro shab-e-shīrāz hotī hai
tumhārī zaat se mansūb ho kar bas yahī jaanā
hamesha āgahī dil par asar-andāz hotī hai
lahū denā garebāñ chaak kar ke sher kah lenā
tarannum meñ ġhazal lekin jigar kā saaz hotī hai
ujāle is liye dāman ke sab taqsīm kartā huuñ
jo sham.a raushnī bāñTe vahī mumtāz hotī hai
tire chehre ke ḳhadd-o-ḳhāl ham se baat karte haiñ
shikan māthe kī us par dil-shikan āvāz hotī hai
zamīn-o-āsmāñ gar ho nazar meñ bil-yaqīñ jis ke
mukammal do-jahāñ meñ us kī har parvāz hotī hai
gulistāñ ḳhaas mauqe par mahaktā hai magar 'shāhid'
tirī ḳhushbū havāoñ ke liye e.azāz hotī he
qalam ki nok aur tirchhi nazar aaghaz hoti hai
meri tanha mizaji jab meri hamraaz hoti hai
chale aae hain hum bhi dekhne us rang-e-mahfil ko
sukut-e-shab jahan yaro shab-e-shiraaz hoti hai
tumhaari zat se mansub ho kar bas yahi jaana
hamesha aagahi dil par asar-andaz hoti hai
lahu dena gareban chaak kar ke sher kah lena
tarannum mein ghazal lekin jigar ka saz hoti hai
ujale is liye daman ke sab taqsim karta hun
jo shama raushni banTe wahi mumtaz hoti hai
tere chehre ke KHadd-o-KHal hum se baat karte hain
shikan mathe ki us par dil-shikan aawaz hoti hai
zamin-o-asman gar ho nazar mein bil-yaqin jis ke
mukammal do-jahan mein us ki har parwaz hoti hai
gulistan KHas mauqe par mahakta hai magar 'shahid'
teri KHushbu hawaon ke liye eazaz hoti he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.