qalam ki nok pe rakkhunga is jahan ko main
qalam kī nok pe rakkhūñgā is jahān ko maiñ
zamīñ lapeT ke rakh duuñ ki āsmān ko maiñ
aziiz jaañ ho jise mujh se vo gurez kare
ki aaj aayā huā huuñ ḳhud apnī jaan ko maiñ
hai mauj mauj muḳhālif mire safīne kī
aur us pe kholne vaalā huuñ bādbān ko maiñ
fareb-e-zāt se bāhar nikal ke dekh mujhe
batā rahā huuñ zamāne kī ān-bān ko maiñ
hamesha lafz kī hurmat kā paas rakkhā hai
baḌā aziiz huuñ lafzoñ ke ḳhāndān ko maiñ
agar maiñ chāhūñ to 'mumtāz' āsmāñ meñ uḌuuñ
gumāñ yaqīn ko de duuñ yaqīñ gumān ko maiñ
qalam ki nok pe rakkhunga is jahan ko main
zamin lapeT ke rakh dun ki aasman ko main
aziz jaan ho jise mujh se wo gurez kare
ki aaj aaya hua hun KHud apni jaan ko main
hai mauj mauj muKHalif mere safine ki
aur us pe kholne wala hun baadban ko main
fareb-e-zat se bahar nikal ke dekh mujhe
bata raha hun zamane ki aan-ban ko main
hamesha lafz ki hurmat ka pas rakkha hai
baDa aziz hun lafzon ke KHandan ko main
agar main chahun to 'mumtaz' aasman mein uDun
guman yaqin ko de dun yaqin guman ko main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.