qalam wala bhi ab aksar dukan-dari mein rahta hai
qalam wala bhi ab aksar dukan-dari mein rahta hai
Abdus Sami Siddiqui Naeem
MORE BYAbdus Sami Siddiqui Naeem
qalam vaalā bhī ab aksar dukāñ-dārī meñ rahtā hai
taraf-dārī bhī kartā hai riyā-kārī meñ rahtā hai
ye maanā ḳhāmushī us kī na.e naġhme sunātī hai
mazā kuchh aur hī lekin guhar-bārī meñ rahtā hai
maiñ ab bhī chauñk uThtā huuñ kisī halkī sī aahaT par
ye dil merā na.e ḳhvāboñ kī tayyārī meñ rahtā hai
ġharīb-e-shahr ko bechārgī jiine nahīñ detī
amīr-e-shahr ko bhī ḳhauf sardārī meñ rahtā hai
'na'īm' is vāste bhī ab ġhazal kahnā zarūrī hai
kahīñ rufaqā na kah deñ vo jahāñ-dāri meñ rahtā hai
qalam wala bhi ab aksar dukan-dari mein rahta hai
taraf-dari bhi karta hai riya-kari mein rahta hai
ye mana KHamushi us ki nae naghme sunati hai
maza kuchh aur hi lekin guhar-bari mein rahta hai
main ab bhi chaunk uThta hun kisi halki si aahaT par
ye dil mera nae KHwabon ki tayyari mein rahta hai
gharib-e-shahr ko bechaargi jine nahin deti
amir-e-shahr ko bhi KHauf sardari mein rahta hai
'na'im' is waste bhi ab ghazal kahna zaruri hai
kahin rufaqa na kah den wo jahan-dari mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.