qalandar tha koi sultan tha main
qalandar thā koī sultān thā maiñ
koī din dasht meñ mehmān thā maiñ
girā dekhā uThāyā na kisī ne
ki lā-vāris koī sāmān thā maiñ
chhuā tum ne to mujh meñ jaan aa.ī
to kyā itne dinoñ be-jān thā maiñ
mujhe ek aadmī ne maar Daalā
ḳhatā itnī thī ik insān thā maiñ
tumheñ maiñ yaad ab tak bhī nahīñ huuñ
haTo bhī itnā to āsān thā maiñ
duā.eñ thiiñ kisī kī saath mere
biinā daulat ke bhī dhanvān thā maiñ
'samīr' ab to havāle gard ke huuñ
mohabbat kā koī dīvān thā maiñ
qalandar tha koi sultan tha main
koi din dasht mein mehman tha main
gira dekha uThaya na kisi ne
ki la-waris koi saman tha main
chhua tum ne to mujh mein jaan aai
to kya itne dinon be-jaan tha main
mujhe ek aadmi ne mar Dala
KHata itni thi ek insan tha main
tumhein main yaad ab tak bhi nahin hun
haTo bhi itna to aasan tha main
duaen thin kisi ki sath mere
bina daulat ke bhi dhanwan tha main
'samir' ab to hawale gard ke hun
mohabbat ka koi diwan tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.