qalb-e-nalan teri aahon mein asar hai ki nahin
qalb-e-nālāñ tirī aahoñ meñ asar hai ki nahīñ
zulmat-e-shab tire pahlū meñ sahar hai ki nahīñ
shiddat-e-zabt meñ guzrī hai tire hijr kī shaam
ab tire saath mujhe izn-e-safar hai ki nahīñ
hai dhanak-rang mire jazba-e-dil kī tasvīr
tujh meñ ehsās koī misl-e-guhar hai ki nahīñ
pūchh lenā kabhī un se ai ġharībān-e-chaman
ki mire hāl-e-pareshāñ kī ḳhabar hai ki nahīñ
kab talak biich meñ hoñge ye pas-o-pesh batā
justujū merī tire pesh-e-nazar hai ki nahīñ
tere dil ko hai abhī uzr-e-mohabbat se gurez
fikr meñ terī kahīñ merā guzar hai ki nahīñ
dil ko hasrat tirī tā.īd-e-nazar kī hai faqat
tere andar kahīñ tūfān-e-sharar hai ki nahīñ
qalb-e-nalan teri aahon mein asar hai ki nahin
zulmat-e-shab tere pahlu mein sahar hai ki nahin
shiddat-e-zabt mein guzri hai tere hijr ki sham
ab tere sath mujhe izn-e-safar hai ki nahin
hai dhanak-rang mere jazba-e-dil ki taswir
tujh mein ehsas koi misl-e-guhar hai ki nahin
puchh lena kabhi un se ai ghariban-e-chaman
ki mere haal-e-pareshan ki KHabar hai ki nahin
kab talak bich mein honge ye pas-o-pesh bata
justuju meri tere pesh-e-nazar hai ki nahin
tere dil ko hai abhi uzr-e-mohabbat se gurez
fikr mein teri kahin mera guzar hai ki nahin
dil ko hasrat teri taid-e-nazar ki hai faqat
tere andar kahin tufan-e-sharar hai ki nahin
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.