qalb-e-viran se rangin ghazal mange hai
qalb-e-vīrān se rañgīn ġhazal māñge hai
kaisī duniyā hai jo sahrā se kañval māñge hai
zindagī ab to har ik lamha ḳhudā jaane kyuuñ
mujh se pechīda savālāt ke hal māñge hai
ye na.ī tarz-e-siyāsat ye zabūñ-hālī ab
ham se māthe pe kuchh afkār ke bal māñge hai
jab se āvāra-mizājī ko qarār aayā hai
terī āġhosh meñ guzre hue pal māñge hai
daur-e-hāzir meñ gharauñdā bhī banānā mushkil
aur mumtāz mirī tāj-mahal māñge hai
is junūñ ne mujhe is darja sharaf baḳhshā hai
but-garī mujh se ajantā kā amal māñge hai
jazba-e-ishq diloñ se hai nadārat 'tashna'
āshiqī aaj kī bas raah saral māñge hai
qalb-e-viran se rangin ghazal mange hai
kaisi duniya hai jo sahra se kanwal mange hai
zindagi ab to har ek lamha KHuda jaane kyun
mujh se pechida sawalat ke hal mange hai
ye nai tarz-e-siyasat ye zabun-haali ab
hum se mathe pe kuchh afkar ke bal mange hai
jab se aawara-mizaji ko qarar aaya hai
teri aaghosh mein guzre hue pal mange hai
daur-e-hazir mein gharaunda bhi banana mushkil
aur mumtaz meri taj-mahal mange hai
is junun ne mujhe is darja sharaf baKHsha hai
but-gari mujh se ajanta ka amal mange hai
jazba-e-ishq dilon se hai nadarat 'tashna'
aashiqi aaj ki bas rah saral mange hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.