qanaat umr-bhar ki ghar ke baam-o-dar pe rakkhi thi
qanā.at umr-bhar kī ghar ke bām-o-dar pe rakkhī thī
maiñ zer-e-āsmāñ thā dhuup mere sar pe rakkhī thī
ta.ajjub kyā jo ab bhī DhūñDte haiñ sañg-e-dar koī
ki ham ne ibtidā tahzīb kī patthar pe rakkhī thī
vahī chehre lahū kī garm-bāzārī meñ shāmil the
jinhoñ ne apnī gardan baḌh ke ḳhud ḳhanjar pe rakkhī thī
maiñ āshiq huuñ badal Daalā mujhe ishq-o-qanā.at ne
ujālā dil meñ thā duniyā mirī Thokar pe rakkhī thī
na jaane maiñ kahāñ bhaTkā kiyā ḳhvāboñ kī bastī meñ
khulī jab aañkh to dekhā thakan bistar pe rakkhī thī
mire bachchoñ ne vo dastār bhī jaane kahāñ rakh dī
buzurgoñ kī nishānī thī abhī tak ghar pe rakkhī thī
vahī tahzīb ab ham ko 'ziyā' jiine nahīñ detī
kabhī buniyād jis kī ham ne māl-o-zar pe rakkhī thī
qanaat umr-bhar ki ghar ke baam-o-dar pe rakkhi thi
main zer-e-asman tha dhup mere sar pe rakkhi thi
tajjub kya jo ab bhi DhunDte hain sang-e-dar koi
ki hum ne ibtida tahzib ki patthar pe rakkhi thi
wahi chehre lahu ki garm-bazari mein shamil the
jinhon ne apni gardan baDh ke KHud KHanjar pe rakkhi thi
main aashiq hun badal Dala mujhe ishq-o-qanaat ne
ujala dil mein tha duniya meri Thokar pe rakkhi thi
na jaane main kahan bhaTka kiya KHwabon ki basti mein
khuli jab aankh to dekha thakan bistar pe rakkhi thi
mere bachchon ne wo dastar bhi jaane kahan rakh di
buzurgon ki nishani thi abhi tak ghar pe rakkhi thi
wahi tahzib ab hum ko 'ziya' jine nahin deti
kabhi buniyaad jis ki hum ne mal-o-zar pe rakkhi thi
- Book : Pas-e-Gard-e-Safar (Pg. 64)
- Author : Zia Farooqui
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.