qarar DhunD raha hun magar qarar nahin
qarār DhūñD rahā huuñ magar qarār nahīñ
ki ik zarā dil-e-muztar pe iḳhtiyār nahīñ
duā.eñ kartā huuñ dīdār-e-yār kī lekin
ajab ye hai ki qayāmat kā intizār nahīñ
kabhī to us ke kahe par hī maan letā thā
aur ab ye haal ki āñkhoñ pe e.atibār nahīñ
kabhī use kabhī mujh ko hai Dar bichhaḌne kā
shab-e-visāl kisī taur ḳhush-gavār nahīñ
qarar DhunD raha hun magar qarar nahin
ki ek zara dil-e-muztar pe iKHtiyar nahin
duaen karta hun didar-e-yar ki lekin
ajab ye hai ki qayamat ka intizar nahin
kabhi to us ke kahe par hi man leta tha
aur ab ye haal ki aankhon pe eatibar nahin
kabhi use kabhi mujh ko hai Dar bichhaDne ka
shab-e-visal kisi taur KHush-gawar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.