qarar dil ko kahan be-qarar dil hi to hai
qarār dil ko kahāñ be-qarār dil hī to hai
ki ek shīsha hai patthar hazār dil hī to hai
mohabbatoñ kā sila dil ko aur kyā miltā
ki nafratoñ kā jahāñ kī shikār dil hī to hai
jo dil pe guzrī hai dushman pe bhī na vo guzre
darīda dāman-e-sad-tār-tār dil hī to hai
rakhā na ham ko kahīñ kā burā ho is dil kā
nahīñ hai jis pe hameñ iḳhtiyār dil hī to hai
vo 'umr 'bazm' ki jis kā surāġh hī na milā
us umr-e-rafta kī ik yādgār dil hī to hai
qarar dil ko kahan be-qarar dil hi to hai
ki ek shisha hai patthar hazar dil hi to hai
mohabbaton ka sila dil ko aur kya milta
ki nafraton ka jahan ki shikar dil hi to hai
jo dil pe guzri hai dushman pe bhi na wo guzre
darida daman-e-sad-tar-tar dil hi to hai
rakha na hum ko kahin ka bura ho is dil ka
nahin hai jis pe hamein iKHtiyar dil hi to hai
wo 'umr 'bazm' ki jis ka suragh hi na mila
us umr-e-rafta ki ek yaadgar dil hi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.