qarar dil ko mila tere muskurane se
qarār dil ko milā tere muskurāne se
banī thī jaañ pe mirī tere ruuTh jaane se
tasallī jhūTī na de dil meñ kyā hai ye kah de
ye ḳhvāb lamhe churā vaqt ke ḳhazāne se
sunahrī ghaḌiyāñ bhī āḳhir to biit jaatī haiñ
ye qaid hoñgī faqat lab pe baat aane se
ye rañgīñ sub.h chaman-dar-chaman haiñ khilte phuul
tū aa gayā to hue din bhī ye suhāne se
koī to 'fātima' sun le jo āp-bītī hai
sabaq milegā unheñ mere is fasāne se
qarar dil ko mila tere muskurane se
bani thi jaan pe meri tere ruTh jaane se
tasalli jhuTi na de dil mein kya hai ye kah de
ye KHwab lamhe chura waqt ke KHazane se
sunahri ghaDiyan bhi aaKHir to bit jati hain
ye qaid hongi faqat lab pe baat aane se
ye rangin subh chaman-dar-chaman hain khilte phul
tu aa gaya to hue din bhi ye suhane se
koi to 'fatima' sun le jo aap-biti hai
sabaq milega unhen mere is fasane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.