qarar se rahen kya shoKH-e-be-hijab kahin
qarār se raheñ kyā shoḳh-e-be-hijāb kahīñ
Thahar sakā hai kisī vaqt āftāb kahīñ
hifāzat aap kareñ apnī naujavānī kī
na luuT le koī ye daulat-e-shabāb kahīñ
ye kaisī tīrgī mai-ḳhāne meñ hai be-sāqī
subū paḌe haiñ kahīñ sāġhar-e-sharāb kahīñ
harām mai-kade kī hai halāl kausar kī
kahīñ azaab hai bāda-kashī savāb kahīñ
vo apne josh-e-javānī meñ aap haiñ sarmast
sharāb se hai sivā nashsha-e-shabāb kahīñ
bas ek raat kī mehmān naujavānī thī
khulī jo aañkh na thā sub.h ko shabāb kahīñ
'shahīr' dād-e-vafā aur husn vāloñ se
ye vo savāl hai jis kā nahīñ javāb kahīñ
qarar se rahen kya shoKH-e-be-hijab kahin
Thahar saka hai kisi waqt aaftab kahin
hifazat aap karen apni naujawani ki
na luT le koi ye daulat-e-shabab kahin
ye kaisi tirgi mai-KHane mein hai be-saqi
subu paDe hain kahin saghar-e-sharab kahin
haram mai-kade ki hai halal kausar ki
kahin azab hai baada-kashi sawab kahin
wo apne josh-e-jawani mein aap hain sarmast
sharab se hai siwa nashsha-e-shabab kahin
bas ek raat ki mehman naujawani thi
khuli jo aankh na tha subh ko shabab kahin
'shahir' dad-e-wafa aur husn walon se
ye wo sawal hai jis ka nahin jawab kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.