qarib aa ki irade lahu ke dekhte hain
qarīb aa ki irāde lahū ke dekhte haiñ
dahaktī aag ko hoñThoñ se chhū ke dekhte haiñ
udhar ugātī hai fasleñ idhar Dubotī hai
karishme ham bhī tirī aabjū ke dekhte haiñ
unheñ ho parvā hī kyoñ pyaar karne vāloñ kī
vo hausle to faqat jang-jū ke dekhte haiñ
ik ek kar ke gharoñ ko jalā.e jaatā hai
karishme roz kisī sulh-ḳhū ke dekhte haiñ
zarā sī dhuup badan ko girāñ guzartī hai
ye log ḳhvāb magar rang-o-bū ke dekhte haiñ
maiñ jāntā huuñ aziyyat-pasand logoñ ko
jo muskurā ke manāzir lahū ke dekhte haiñ
qarib aa ki irade lahu ke dekhte hain
dahakti aag ko honThon se chhu ke dekhte hain
udhar ugati hai faslen idhar Duboti hai
karishme hum bhi teri aabju ke dekhte hain
unhen ho parwa hi kyon pyar karne walon ki
wo hausle to faqat jang-ju ke dekhte hain
ek ek kar ke gharon ko jalae jata hai
karishme roz kisi sulh-KHu ke dekhte hain
zara si dhup badan ko giran guzarti hai
ye log KHwab magar rang-o-bu ke dekhte hain
main jaanta hun aziyyat-pasand logon ko
jo muskura ke manazir lahu ke dekhte hain
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 121)
- Author :Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.