qarib aa to sahi ai ghazal-e-shab mere
qarīb aa to sahī ai ġhazāl-e-shab mere
tire dukhoñ kā mudāvā kareñge lab mere
galī galī se ubhartī rahī malāl kī chaap
tū Duub Duub gayā naġhma-e-tarab mere
ghirā huā thā 'ajab kam-shanās logoñ meñ
kuDhab dikhā.ī diye har kisī ko Dhab mere
agarche mere laboñ par lagī hai mohr-e-sukūt
mukālme haiñ tirī yaad se 'ajab mere
unhī ke faiz se paa.ī hai sabr kī tā'līm
adiib nikle talāmīz-e-be-adab mere
ye pahle pyaar kī bārish ye bhīgne kā mazā
Tapak paḌā tū kahāñ ranj-e-be-talab mere
maiñ raushnī ke qabīle kā fard huuñ 'yāvar'
ye chāñd aur sitāre haiñ ham-nasab mere
qarib aa to sahi ai ghazal-e-shab mere
tere dukhon ka mudawa karenge lab mere
gali gali se ubharti rahi malal ki chap
tu Dub Dub gaya naghma-e-tarab mere
ghira hua tha 'ajab kam-shanas logon mein
kuDhab dikhai diye har kisi ko Dhab mere
agarche mere labon par lagi hai mohr-e-sukut
mukalme hain teri yaad se 'ajab mere
unhi ke faiz se pai hai sabr ki ta'lim
adib nikle talamiz-e-be-adab mere
ye pahle pyar ki barish ye bhigne ka maza
Tapak paDa tu kahan ranj-e-be-talab mere
main raushni ke qabile ka fard hun 'yawar'
ye chand aur sitare hain ham-nasab mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.