qarib aane laga wo to raat gahri hui
qarīb aane lagā vo to raat gahrī huī
vo raat Thahrī rahī jab talak do-pahrī huī
saboñ ne apne piyāroñ ke lab chakhe alassub.h
guzār kar shab-e-hijrāñ saboñ kī saharī huī
vo kaun hogā jo vāpas na lauT pā.egā
hai intizār meñ ik rahguzār Thahrī huī
hamāre chehre kī zardī pe haath rakh us ne
ik aisā rañg lagāyā ki chhab sunahrī huī
uḌaa.e ḳhaak to tāroñ se bhar ga.e aflāk
bichhā.e taar garebāñ ke to masahrī huī
qarib aane laga wo to raat gahri hui
wo raat Thahri rahi jab talak do-pahri hui
sabon ne apne piyaron ke lab chakhe alassubh
guzar kar shab-e-hijran sabon ki sahari hui
wo kaun hoga jo wapas na lauT paega
hai intizar mein ek rahguzar Thahri hui
hamare chehre ki zardi pe hath rakh us ne
ek aisa rang lagaya ki chhab sunahri hui
uDae KHak to taron se bhar gae aflak
bichhae tar gareban ke to masahri hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.