Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qarib aane lage hain dur ke din

Nomaan Shauque

qarib aane lage hain dur ke din

Nomaan Shauque

MORE BYNomaan Shauque

    qarīb aane lage haiñ duur ke din

    vahī haañ hameñ manzūr ke din

    ġhalat auqāt meñ nāzil hue ham

    farishtoñ haiñ rāteñ huur ke din

    zabāneñ kaaT kar samjhāyā us ne

    ye haiñ sultānī-e-jamhūr ke din

    vo uThte kyoñ nahīñ sajde meñ haiñ jo

    ga.e kyā sarmad-o-mansūr ke din

    mukammal chhūT hai nashtar-zanī

    mubārak hoñ na.e nāsūr ke din

    akaḌte the bahut lo aa ga.e

    na.e changez aur taimūr ke din

    milī īmān muñh māñgī qīmat

    baḌā mātam huā masrūr ke din

    qarib aane lage hain dur ke din

    wahi ji han hamein manzur ke din

    ghalat auqat mein nazil hue hum

    farishton ki hain raaten hur ke din

    zabanen kaT kar samjhaya us ne

    ye hain sultani-e-jamhur ke din

    wo uThte kyon nahin sajde mein hain jo

    gae kya sarmad-o-mansur ke din

    mukammal chhuT hai nashtar-zani ki

    mubarak hon nae nasur ke din

    akaDte the bahut lo aa gae na

    nae changez aur taimur ke din

    mili iman ki munh mangi qimat

    baDa matam hua masrur ke din

    Source :
    • Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 98)
    • Author : Nomaan Shauque
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now