qarib aao gulon ki barsat ho rahi hai
qarīb aao guloñ kī barsāt ho rahī hai
hamārī hī kā.enāt meñ baat ho rahī hai
nazar nahīñ haT rahī hai chehroñ se donoñ kī aaj
ki baa'd muddat ke phir mulāqāt ho rahī hai
sabhī ke īmān aaj ḳhauf-o-hirās meñ haiñ
ki har taraf kufr kī mudārāt ho rahī hai
kahāñ chale shaam dil-nashīñ dil ġharīq-e-ulfat
huuñ maiñ akelī na jaao jaañ raat ho rahī hai
hai mujh se nārāz devī har ek ḳhair-o-shar kī
ye deviyoñ se hī sharh-e-hālāt ho rahī hai
ḳhudārā chhoḌo na saath merā ye hai guzārish
ki baazī jiitī huī mirī maat ho rahī hai
qarib aao gulon ki barsat ho rahi hai
hamari hi kaenat mein baat ho rahi hai
nazar nahin haT rahi hai chehron se donon ki aaj
ki ba'd muddat ke phir mulaqat ho rahi hai
sabhi ke iman aaj KHauf-o-hiras mein hain
ki har taraf kufr ki mudaraat ho rahi hai
kahan chale sham dil-nashin dil ghariq-e-ulfat
hun main akeli na jao jaan raat ho rahi hai
hai mujh se naraaz dewi har ek KHair-o-shar ki
ye dewiyon se hi sharh-e-haalat ho rahi hai
KHudara chhoDo na sath mera ye hai guzarish
ki bazi jiti hui meri mat ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.