qarib hun pa teri dastaras se bahar hun
qarib hun pa teri dastaras se bahar hun
Syed Qamar Haider Qamar
MORE BYSyed Qamar Haider Qamar
qarīb huuñ pa tirī dastaras se bāhar huuñ
maiñ dushmanoñ ke mahalle meñ dost kā ghar huuñ
latāfatoñ kī qayāmat koī mazāq nahīñ
maiñ āñdhiyoñ meñ huuñ aur ḳhushbuoñ kā rahbar huuñ
nasīb to kisī bāzār meñ nahīñ bikte
mujhe sañbhāl ke rakh maiñ tirā muqaddar huuñ
tū apne jism kī kitnī ragoñ ko kāTegā
maiñ tere dil nahīñ tere lahū ke andar huuñ
baḌā azaab hai apne se āshnā honā
mirā ye dukh hai ki maiñ āgahī kī zad par huuñ
tū mujh ko dekh to saktā hai chhū nahīñ saktā
ye jaan le ki maiñ shīshe ke ghar ke andar huuñ
'qamar' huā huuñ maiñ ḳhushbū ke batn se paidā
yahī sabab hai ki dosh-e-havā ke uupar huuñ
qarib hun pa teri dastaras se bahar hun
main dushmanon ke mahalle mein dost ka ghar hun
latafaton ki qayamat koi mazaq nahin
main aandhiyon mein hun aur KHushbuon ka rahbar hun
nasib to kisi bazar mein nahin bikte
mujhe sanbhaal ke rakh main tera muqaddar hun
tu apne jism ki kitni ragon ko kaTega
main tere dil nahin tere lahu ke andar hun
baDa azab hai apne se aashna hona
mera ye dukh hai ki main aagahi ki zad par hun
tu mujh ko dekh to sakta hai chhu nahin sakta
ye jaan le ki main shishe ke ghar ke andar hun
'qamar' hua hun main KHushbu ke batn se paida
yahi sabab hai ki dosh-e-hawa ke upar hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.