qarib kuchh na mila dur se dhuan dekha
qarīb kuchh na milā duur se dhuāñ dekhā
qafas se chhūT ke kyā ḳhuub āshiyāñ dekhā
yahī hai sair faqīroñ kī aur yahī fariyād
zamīñ pe baiTh ga.e sū-e-āsmāñ dekhā
hue tamām jo sajde the duur ke ādāb
yahāñ se aur hai aalam ki āstāñ dekhā
hisār khīñch ke apne hī dil kā baiTh rahe
zamāne-bhar ko mohabbat se bad-gumāñ dekhā
chaman chaman tirī saireñ nazar bahār bahār
chaTak chaTak paḌe ġhunche jahāñ jahāñ dekhā
harīm-e-nāz pe vo rang-o-nūr kī bārish
harīm-e-nāz meñ kyā thā ye phir kahāñ dekhā
'razā' ne dil ko sajā kar tire tasavvur se
jahān-e-husn meñ ik husn-e-do-jahāñ dekhā
qarib kuchh na mila dur se dhuan dekha
qafas se chhuT ke kya KHub aashiyan dekha
yahi hai sair faqiron ki aur yahi fariyaad
zamin pe baiTh gae su-e-asman dekha
hue tamam jo sajde the dur ke aadab
yahan se aur hai aalam ki aastan dekha
hisar khinch ke apne hi dil ka baiTh rahe
zamane-bhar ko mohabbat se bad-guman dekha
chaman chaman teri sairen nazar bahaar bahaar
chaTak chaTak paDe ghunche jahan jahan dekha
harim-e-naz pe wo rang-o-nur ki barish
harim-e-naz mein kya tha ye phir kahan dekha
'raza' ne dil ko saja kar tere tasawwur se
jahan-e-husn mein ek husn-e-do-jahan dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.