qarib tha ki hararat se jal uTha hota
qarīb thā ki harārat se jal uThā hotā
diyā hathelī pe kuchh vaqt agar rukā hotā
banāyā jaatā agar Tahniyoñ se pinjre ko
qafas meñ kuchh to parindoñ ko aasrā hotā
tumhāre juuḌe meñ hai is liye salāmat hai
ye phuul shāḳh pe pazhmurda ho gayā hotā
ḳhudā kā shukr ki nisbat qalam se hai varna
hamāre haath bhī bārūd lag chukā hotā
bilaktā bachcha kahāñ baap se sañbhaltā hai
jo hotī maañ to use chup karā liyā hotā
tujhe lagī hī nahīñ 'ishq kī havā 'tāsīr'
vagarna tujh meñ koī aur boltā hotā
qarib tha ki hararat se jal uTha hota
diya hatheli pe kuchh waqt agar ruka hota
banaya jata agar Tahniyon se pinjre ko
qafas mein kuchh to parindon ko aasra hota
tumhaare juDe mein hai is liye salamat hai
ye phul shaKH pe pazhmurda ho gaya hota
KHuda ka shukr ki nisbat qalam se hai warna
hamare hath bhi barud lag chuka hota
bilakta bachcha kahan bap se sanbhalta hai
jo hoti man to use chup kara liya hota
tujhe lagi hi nahin 'ishq ki hawa 'tasir'
wagarna tujh mein koi aur bolta hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.