qarya-e-jaan se ho kar guzarta tha jo rasta ya-aKHi
qarya-e-jaan se ho kar guzarta tha jo rasta ya-aKHi
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
qarya-e-jāñ se ho kar guzartā thā jo rāsta yā-aḳhī
ek saaya bahut der us par Tahaltā rahā yā-aḳhī
apne hī aap se der tak ham bhī dast-o-garebāñ rahe
dhund chhaTne lagī aur sūraj nikalne lagā yā-aḳhī
nā-rasā.ī kā ehsās bhī darmiyān-e-yaqīñ aa gayā
chand qadmoñ pe manzil thī aur rāsta kho gayā yā-aḳhī
ham ki abr-e-karam kī tamanna meñ dasht-o-jabal tak ga.e
ek tūfāñ ġhubār-āshnā kar gayā thā fazā yā-aḳhī
ab to jaañ tak utarne lagā ḳhud-kalāmī kā dukh kyā kaheñ
itnā āsāñ nahīñ apne hī aap se bolnā yā-aḳhī
jis ke hāthoñ meñ Daale hue haath phirte the ham rāt-din
kyā tumheñ yaad hai tum batāo ki vo kaun thā yā-aḳhī
ḳhud-farebī hī is 'ahd meñ zinda rahne kā sāmān hai
mar hī jaa.eñ agar chhoḌ deñ ḳhvāb kā dekhnā yā-aḳhī
qarya-e-jaan se ho kar guzarta tha jo rasta ya-aKHi
ek saya bahut der us par Tahalta raha ya-aKHi
apne hi aap se der tak hum bhi dast-o-gareban rahe
dhund chhaTne lagi aur suraj nikalne laga ya-aKHi
na-rasai ka ehsas bhi darmiyan-e-yaqin aa gaya
chand qadmon pe manzil thi aur rasta kho gaya ya-aKHi
hum ki abr-e-karam ki tamanna mein dasht-o-jabal tak gae
ek tufan ghubar-ashna kar gaya tha faza ya-aKHi
ab to jaan tak utarne laga KHud-kalami ka dukh kya kahen
itna aasan nahin apne hi aap se bolna ya-aKHi
jis ke hathon mein Dale hue hath phirte the hum raat-din
kya tumhein yaad hai tum batao ki wo kaun tha ya-aKHi
KHud-farebi hi is 'ahd mein zinda rahne ka saman hai
mar hi jaen agar chhoD den KHwab ka dekhna ya-aKHi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.