qasam hai jaane wale tujhko apne husn-e-kaamil ki
qasam hai jaane wale tujhko apne husn-e-kaamil ki
Basheeruddin Raaz
MORE BYBasheeruddin Raaz
qasam hai jaane vaale tujh ko apne husn-e-kāmil kī
zarā rūdād-e-ġham suntā bhī jā TuuTe hue dil kī
ḳhudārā rahm kar mujh par tū ai vahshat mire dil kī
kahāñ par le chalī mujh ko dikhā kar shakl manzil kī
hameñ khoyā hai qismat ne hamārī lā ke manzil par
na apnā hosh thā ham ko ḳhabar thī kuchh na manzil kī
ajab kyā thā unheñ hālat pe merī rahm aa jaatā
agar rūdād-e-ġham sunte mire TuuTe hue dil kī
nahīñ hai tāqat-e-raftār lekin is kī hasrat hai
kahāñ par hai mirī manzil dikhā de shakl manzil kī
tirī bazm-e-tamannā bhī ajab bazm-e-tamannā hai
hazāroñ uTh ga.e lekin vahī raunaq hai mahfil kī
garebāñ chaak hone par bhī vahshat nā-mukammal hai
abhī hasrat hai mujh ko ai junūñ tauq-o-salāsil kī
mujhe shauq-e-shahādat le chalā hai aaj maqtal meñ
ilāhī baat rakhnā qatl-gah meñ mere qātil kī
na jaane kis ke jalve 'rāz' mujh ko yaad aate haiñ
ye kis ke dard kī dil meñ kasak hai ḳhair ho dil kī
qasam hai jaane wale tujh ko apne husn-e-kaamil ki
zara rudad-e-gham sunta bhi ja TuTe hue dil ki
KHudara rahm kar mujh par tu ai wahshat mere dil ki
kahan par le chali mujh ko dikha kar shakl manzil ki
hamein khoya hai qismat ne hamari la ke manzil par
na apna hosh tha hum ko KHabar thi kuchh na manzil ki
ajab kya tha unhen haalat pe meri rahm aa jata
agar rudad-e-gham sunte mere TuTe hue dil ki
nahin hai taqat-e-raftar lekin is ki hasrat hai
kahan par hai meri manzil dikha de shakl manzil ki
teri bazm-e-tamanna bhi ajab bazm-e-tamanna hai
hazaron uTh gae lekin wahi raunaq hai mahfil ki
gareban chaak hone par bhi wahshat na-mukammal hai
abhi hasrat hai mujh ko ai junun tauq-o-salasil ki
mujhe shauq-e-shahadat le chala hai aaj maqtal mein
ilahi baat rakhna qatl-gah mein mere qatil ki
na jaane kis ke jalwe 'raaz' mujh ko yaad aate hain
ye kis ke dard ki dil mein kasak hai KHair ho dil ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.