Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qasam le lo miyan kuchh bhi nahin hai

Shahzad Faiz

qasam le lo miyan kuchh bhi nahin hai

Shahzad Faiz

MORE BYShahzad Faiz

    qasam le lo miyāñ kuchh bhī nahīñ hai

    hamāre darmiyāñ kuchh bhī nahīñ hai

    maiñ phirtā huuñ jise sar par uThā.e

    agar hai āsmāñ kuchh bhī nahīñ hai

    mire phal phuul patte jhaḌ ga.e haiñ

    tirī ḳhātir ḳhizāñ kuchh bhī nahīñ hai

    maiñ pyāsā thal huuñ ik nazdīk mere

    nadī naale kuaañ kuchh bhī nahīñ hai

    tumhāre baa'd paude peḌ jugnū

    parinde titliyāñ kuchh bhī nahīñ hai

    yaqīñ tujh ko agar stamp par hai

    to kyā merī zabāñ kuchh bhī nahīñ hai

    muqābil 'ishq ke maiñ aa gayā thā

    mirā nām-o-nishāñ kuchh bhī nahīñ hai

    tumhāre bin kahāñ pāzeb jhumke

    añgūThī chūḌiyāñ kuchh bhī nahīñ hai

    tire dam se hai ghar jannat vagarna

    ye ‘ālī-shāñ makāñ kuchh bhī nahīñ hai

    mohabbat meñ vafādārī are vaah

    chale jaao yahāñ kuchh bhī nahīñ hai

    kahāñ qalmeñ davāteñ aur imlā

    kahāñ ab taḳhtiyāñ kuchh bhī nahīñ hai

    bhalā kis kaam āñkheñ hamārī

    agar āb-e-ravāñ kuchh bhī nahīñ hai

    maiñ vo bachcha huuñ jis dastaras meñ

    khilaune toffiyāñ kuchh bhī nahīñ hai

    huā izn-e-safar jab chal paḌeñge

    hamārā 'faiz' yaañ kuchh bhī nahīñ hai

    qasam le lo miyan kuchh bhi nahin hai

    hamare darmiyan kuchh bhi nahin hai

    main phirta hun jise sar par uThae

    agar hai aasman kuchh bhi nahin hai

    mere phal phul patte jhaD gae hain

    teri KHatir KHizan kuchh bhi nahin hai

    main pyasa thal hun ek nazdik mere

    nadi nale kuan kuchh bhi nahin hai

    tumhaare ba'd paude peD jugnu

    parinde titliyan kuchh bhi nahin hai

    yaqin tujh ko agar stamp par hai

    to kya meri zaban kuchh bhi nahin hai

    muqabil 'ishq ke main aa gaya tha

    mera nam-o-nishan kuchh bhi nahin hai

    tumhaare bin kahan pazeb jhumke

    anguThi chuDiyan kuchh bhi nahin hai

    tere dam se hai ghar jannat wagarna

    ye ‘ali-shan makan kuchh bhi nahin hai

    mohabbat mein wafadari are wah

    chale jao yahan kuchh bhi nahin hai

    kahan qalmen dawaten aur imla

    kahan ab taKHtiyan kuchh bhi nahin hai

    bhala kis kaam ki aankhen hamari

    agar aab-e-rawan kuchh bhi nahin hai

    main wo bachcha hun jis ki dastaras mein

    khilaune toffiyan kuchh bhi nahin hai

    hua izn-e-safar jab chal paDenge

    hamara 'faiz' yan kuchh bhi nahin hai

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now