qasd karta hai bagulon se lipaT jaane ka
qasd kartā hai bagūloñ se lipaT jaane kā
kitnā dilchasp ye andāz hai dīvāne kā
baḌh gayā had se junūñ aap ke dīvāne kā
vaqt ab aa gayā parde se nikal aane kā
lafz-e-kun se kahīñ taḳhlīq-e-do-ālam hotī
husn-e-andāz thā ye aap ke farmāne kā
soz-e-ulfat se jale donoñ barābar lekin
sham.a badnām hai aur naam hai parvāne kā
dil-e-'iqbāl' pe andoh-e-mohabbat kyā hai
ek bādal hai barasne kā na barsāne kā
qasd karta hai bagulon se lipaT jaane ka
kitna dilchasp ye andaz hai diwane ka
baDh gaya had se junun aap ke diwane ka
waqt ab aa gaya parde se nikal aane ka
lafz-e-kun se kahin taKHliq-e-do-alam hoti
husn-e-andaz tha ye aap ke farmane ka
soz-e-ulfat se jale donon barabar lekin
shama badnam hai aur nam hai parwane ka
dil-e-'iqbaal' pe andoh-e-mohabbat kya hai
ek baadal hai barasne ka na barsane ka
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 539)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.