qasd usne jo kiya aag mein jal jaane ka
qasd us ne jo kiyā aag meñ jal jaane kā
sham.a tharrā ga.ī ruḳh dekh ke parvāne kā
sub.h hote hī khulā dar tire maiḳhāne kā
aks sūraj hai chhalakte hue paimāne kā
bujh ga.ī jal ke magar uf na zabāñ se niklī
dil diyā sham.a ko allāh ne parvāne kā
jalva-farmā sar-e-mimbar jinheñ dekhā din ko
rāsta pūchhte the raat ko maiḳhāne kā
bijliyāñ ḳhauf se katrā ke nikal jaatī haiñ
ye patā hai mire ujḌe hue kāshāne kā
abhī qaabū meñ zabāñ hai mujhe kah lene do
lutf kyā ġhair ke muñh se mire afsāne kā
ab na maane dil-e-muztar to jahannum meñ jaa.e
haq adā kar diyā ham ne ise samjhāne kā
aish-e-rafta ke din aur raat barābar na kiye
din ko ronā hī rahā raat ke afsāne kā
ik jahāñ mast hai jis bāda-e-bīnā.ī se
nashsha 'safdar' ko bhī hai kuchh usī paimāne kā
qasd us ne jo kiya aag mein jal jaane ka
shama tharra gai ruKH dekh ke parwane ka
subh hote hi khula dar tere maiKHane ka
aks suraj hai chhalakte hue paimane ka
bujh gai jal ke magar uf na zaban se nikli
dil diya shama ko allah ne parwane ka
jalwa-farma sar-e-mimbar jinhen dekha din ko
rasta puchhte the raat ko maiKHane ka
bijliyan KHauf se katra ke nikal jati hain
ye pata hai mere ujDe hue kashane ka
abhi qabu mein zaban hai mujhe kah lene do
lutf kya ghair ke munh se mere afsane ka
ab na mane dil-e-muztar to jahannum mein jae
haq ada kar diya hum ne ise samjhane ka
aish-e-rafta ke din aur raat barabar na kiye
din ko rona hi raha raat ke afsane ka
ek jahan mast hai jis baada-e-binai se
nashsha 'safdar' ko bhi hai kuchh usi paimane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.