qasdan bhi usne hans ke jafa ko wafa paDha
qasdan bhī us ne hañs ke jafā ko vafā paḌhā
shoḳhī to dekhiye ki likhā kyā thā kyā paḌhā
ai ishq ham ne terā sabaq dil se kyā paḌhā
aisā paḌhā ki bhuul ga.e sab likhā paḌhā
kyā likhte vo javāb meñ afsos ke sivā
ik kam-paḌhe ne ḳhat meñ fazā ko qazā paḌhā
ai nāma-bar maiñ bhej to duuñ apnā ḳhat unheñ
phir terā kyā banegā agar mudda.ā paḌhā
thī kitnī ek mast ko allāh se lagan
sau baar us ne lafz-e-judā ko ḳhudā paḌhā
'shabbar' tirī talāsh bhī kitnī ajiib hai
tū ne na.ī radīf meñ har qāfiyā paḌhā
qasdan bhi us ne hans ke jafa ko wafa paDha
shoKHi to dekhiye ki likha kya tha kya paDha
ai ishq hum ne tera sabaq dil se kya paDha
aisa paDha ki bhul gae sab likha paDha
kya likhte wo jawab mein afsos ke siwa
ek kam-paDhe ne KHat mein faza ko qaza paDha
ai nama-bar main bhej to dun apna KHat unhen
phir tera kya banega agar muddaa paDha
thi kitni ek mast ko allah se lagan
sau bar us ne lafz-e-juda ko KHuda paDha
'shabbar' teri talash bhi kitni ajib hai
tu ne nai radif mein har qafiya paDha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.