qasida zulfon ka jis jagah par chhiDa hua hai
qasīda zulfoñ kā jis jagah par chhiḌā huā hai
vahāñ pe ḳhushbū kā shāmiyāna lagā huā hai
darīcha-e-shab se jhāñktā hai ye chāñd kis ko
ye kaun bām-e-jamāl par rūnumā huā hai
na jaane us kā charāġh hai kyoñ bujhā bujhā sā
na jaane us ke shikoh-e-naḳhvat ko kyā huā hai
koī ta.alluq koī to rishta zarūr hogā
ye āsmāñ jo zamīñ kī jānib jhukā huā hai
batā rahī hai ḳhirām-e-bād-e-sabā kī mastī
gulāb shāḳh-e-adā pe koī khilā huā hai
use muravvat ke ḳhāl-o-ḳhad kyā dikhā.ī deñge
ġhubār-e-nafrat se shīsha-e-dil aTā huā hai
agarche sab khiḌkiyāñ haiñ barsoñ se band lekin
makān merā makāñ se us ke milā huā hai
ḳhayāl jin kā na ho ke guzrā kisī ke dil se
hamārā un sā.atoñ se bhī sāmnā huā hai
bahāreñ aa aa ke 'nūr' hoñToñ ko chūmtī haiñ
miyān-e-sahrā ye kaun naġhma-sarā huā hai
qasida zulfon ka jis jagah par chhiDa hua hai
wahan pe KHushbu ka shamiyana laga hua hai
daricha-e-shab se jhankta hai ye chand kis ko
ye kaun baam-e-jamal par runuma hua hai
na jaane us ka charagh hai kyon bujha bujha sa
na jaane us ke shikoh-e-naKHwat ko kya hua hai
koi talluq koi to rishta zarur hoga
ye aasman jo zamin ki jaanib jhuka hua hai
bata rahi hai KHiram-e-baad-e-saba ki masti
gulab shaKH-e-ada pe koi khila hua hai
use murawwat ke KHal-o-KHad kya dikhai denge
ghubar-e-nafrat se shisha-e-dil aTa hua hai
agarche sab khiDkiyan hain barson se band lekin
makan mera makan se us ke mila hua hai
KHayal jin ka na ho ke guzra kisi ke dil se
hamara un saaton se bhi samna hua hai
bahaaren aa aa ke 'nur' honTon ko chumti hain
miyan-e-sahra ye kaun naghma-sara hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.