qata hui zaban-e-shauq zikr-e-visal aa gaya
qat.a huī zabān-e-shauq zikr-e-visāl aa gayā
ālam-e-iztirāb meñ lab pe savāl aa gayā
ashk taḌap ke rah gayā aah laboñ pe ruk ga.ī
kyā kisī parda-dār kā dil meñ ḳhayāl aa gayā
jalne lagī naqāb-e-husn kauñd ga.iiñ vo bijliyāñ
ā.ina-e-jamāl meñ rañg-e-jalāl aa gayā
rāz-e-alast kah diyā mauj-e-nasīm-e-sub.h ne
vajd meñ phuul gir paḌe shāḳhoñ ko haal aa gayā
dushman-e-hosh ban gayā husn-e-talab nigāh kā
aap kī jalva-gāh meñ dil kā savāl aa gayā
vahshat-e-dil ne kar diyā ġham kī taraf se be-niyāz
josh-e-junūñ meñ zer-e-pā koh-e-malāl aa gayā
dād-e-suḳhan hai nāgavār mahv-e-sukūt haiñ harīf
'sāqib'-e-ḳhush-bayāñ meñ kyā rang-e-kamāl aa gayā
qata hui zaban-e-shauq zikr-e-visal aa gaya
aalam-e-iztirab mein lab pe sawal aa gaya
ashk taDap ke rah gaya aah labon pe ruk gai
kya kisi parda-dar ka dil mein KHayal aa gaya
jalne lagi naqab-e-husn kaund gain wo bijliyan
aaina-e-jamal mein rang-e-jalal aa gaya
raaz-e-alast kah diya mauj-e-nasim-e-subh ne
wajd mein phul gir paDe shaKHon ko haal aa gaya
dushman-e-hosh ban gaya husn-e-talab nigah ka
aap ki jalwa-gah mein dil ka sawal aa gaya
wahshat-e-dil ne kar diya gham ki taraf se be-niyaz
josh-e-junun mein zer-e-pa koh-e-malal aa gaya
dad-e-suKHan hai nagawar mahw-e-sukut hain harif
'saqib'-e-KHush-bayan mein kya rang-e-kamal aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.