qatl karna ho to kab zahr diya jata hai
qatl karnā ho to kab zahr diyā jaatā hai
un dinoñ bas nazar-andāz kiyā jaatā hai
zindagī zahr sahī jur.a-e-mānūs to hai
maut kā jām-e-shifā kis se piyā jaatā hai
maiñ to lamhāt kā bikhrā huā shīrāza huuñ
sozan-e-umr se kyoñ mujh ko siyā jaatā hai
tum ko andāza nahīñ us kī tavānā.ī kā
had se baḌh kar jise majbūr kiyā jaatā hai
bāz-purs us se bhī hogī kabhī sochā bhī na thā
haal par apne jise chhoḌ diyā jaatā hai
hīta-e-sher meñ ab aane lagī hai vo shai
jis ko samjhā nahīñ mahsūs kiyā jaatā hai
qatl karna ho to kab zahr diya jata hai
un dinon bas nazar-andaz kiya jata hai
zindagi zahr sahi jura-e-manus to hai
maut ka jam-e-shifa kis se piya jata hai
main to lamhat ka bikhra hua shiraaza hun
sozan-e-umr se kyon mujh ko siya jata hai
tum ko andaza nahin us ki tawanai ka
had se baDh kar jise majbur kiya jata hai
baz-purs us se bhi hogi kabhi socha bhi na tha
haal par apne jise chhoD diya jata hai
hita-e-sher mein ab aane lagi hai wo shai
jis ko samjha nahin mahsus kiya jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.