qatra-e-ashk se taskin-e-jigar ki ummid
qatra-e-ashk se taskin-e-jigar ki ummid
Mohammad Zakariyya Khan
MORE BYMohammad Zakariyya Khan
qatra-e-ashk se taskīn-e-jigar kī ummīd
qulzum-e-chashm se hai āb-e-guhar kī ummīd
ġham meñ hotī hai ajab-ḳhez bashar kī ummīd
dard-e-jāñ-kāh-e-firāq aur sahar kī ummīd
qatl ko us ne pas-az-umr nikālī talvār
baad muddat ke bar aa.ī mire sar kī ummīd
nazar aatā hai bayābāñ se adam ko jaanā
ḳhaak ho dard-e-junūñ meñ mujhe ghar kī ummīd
us ne dekhā na mirā hāl-e-zabūñ tā-dam-e-marg
jaan ke saath ga.ī ek nazar kī ummīd
va.ada-e-vasl meñ thā kis qadar andāz-e-fareb
na thī ummīd-e-vafā us se magar kī ummīd
zabt-e-ġham tark-e-havas pās-e-vafā kartā huuñ
aah ke saath rahī dil meñ asar kī ummīd
tere qadmoñ meñ hī ġhaltāñ na huā zīnat-e-gosh
ḳhaak meñ mil ga.ī afsos guhar kī ummīd
kāvish-e-tīr kahāñ burrish-e-shamshīr kahāñ
dil kī hasrat hai abas aur jigar kī ummīd
poñchhte poñchhte aañsū mire vo sharmā.e
kyoñ kahā haa.e ye thī dīda-e-tar kī ummīd
aarzū hai ki dil-e-sāf meñ ho jalva-e-yār
raushan ā.īne se hai ā.ina-gar kī ummīd
sham.a-sāñ sub.h-e-shab-e-va.ada huā jal ke tamām
ho ga.ī ḳhaak mirī chār-pahar kī ummīd
dīda-e-shauq bane mahv-e-tamāshā Thahre
terā jalva hai magar shams-o-qamar kī ummīd
abhī vo haal hai jo sadma-e-shab se hotā
shām-e-hijrāñ nazar aatī hai sahar kī ummīd
haath se us ke hue qatl na ġham hī se halāk
puurī hotī hai idhar kī na udhar kī ummīd
zo.af achchhā hai rafīq apnā tarīq-e-ġham meñ
har qadam kyoñ na ho anjām-e-safar kī ummīd
tum ko saudā hai 'zakī' aah meñ tāsīr kahāñ
shajar-e-bed se rakhte ho samar kī ummīd
qatra-e-ashk se taskin-e-jigar ki ummid
qulzum-e-chashm se hai aab-e-guhar ki ummid
gham mein hoti hai ajab-KHez bashar ki ummid
dard-e-jaan-kah-e-firaq aur sahar ki ummid
qatl ko us ne pas-az-umr nikali talwar
baad muddat ke bar aai mere sar ki ummid
nazar aata hai bayaban se adam ko jaana
KHak ho dard-e-junun mein mujhe ghar ki ummid
us ne dekha na mera haal-e-zabun ta-dam-e-marg
jaan ke sath gai ek nazar ki ummid
wada-e-wasl mein tha kis qadar andaz-e-fareb
na thi ummid-e-wafa us se magar ki ummid
zabt-e-gham tark-e-hawas pas-e-wafa karta hun
aah ke sath rahi dil mein asar ki ummid
tere qadmon mein hi ghaltan na hua zinat-e-gosh
KHak mein mil gai afsos guhar ki ummid
kawish-e-tir kahan burrish-e-shamshir kahan
dil ki hasrat hai abas aur jigar ki ummid
ponchhte ponchhte aansu mere wo sharmae
kyon kaha hae ye thi dida-e-tar ki ummid
aarzu hai ki dil-e-saf mein ho jalwa-e-yar
raushan aaine se hai aaina-gar ki ummid
shama-san subh-e-shab-e-wada hua jal ke tamam
ho gai KHak meri chaar-pahar ki ummid
dida-e-shauq bane mahw-e-tamasha Thahre
tera jalwa hai magar shams-o-qamar ki ummid
abhi wo haal hai jo sadma-e-shab se hota
sham-e-hijran nazar aati hai sahar ki ummid
hath se us ke hue qatl na gham hi se halak
puri hoti hai idhar ki na udhar ki ummid
zoaf achchha hai rafiq apna tariq-e-gham mein
har qadam kyon na ho anjam-e-safar ki ummid
tum ko sauda hai 'zaki' aah mein tasir kahan
shajar-e-bed se rakhte ho samar ki ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.