qatra-e-shabnam ko jalte aaftabon mein na rakh
qatra-e-shabnam ko jalte āftāboñ meñ na rakh
ek hī jaañ hai use itne azāboñ meñ na rakh
ā.inoñ se dostī kī hai to apnā aks dekh
apne chehre ko chhupā kar yuuñ naqāboñ meñ na rakh
merī āñkhoñ ko bhī koī ḳhūbsūrat ḳhvāb de
mujh ko har lamha basā kar apne ḳhvāboñ meñ na rakh
aisī bātoñ se hī vo rahtā hai kuchh sahmā huā
us ke aage apne hoñToñ ko gulāboñ meñ na rakh
pāniyoñ ke shahr meñ har mauj ik sailāb hai
dekh apnī ḳhvāhishoñ ko in habāboñ meñ na rakh
sirf lamhātī nashoñ meñ dard kī lazzat na DhūñD
is tarah mad.hosh apne ko sharāboñ meñ na rakh
qatra-e-shabnam ko jalte aaftabon mein na rakh
ek hi jaan hai use itne azabon mein na rakh
aainon se dosti ki hai to apna aks dekh
apne chehre ko chhupa kar yun naqabon mein na rakh
meri aankhon ko bhi koi KHubsurat KHwab de
mujh ko har lamha basa kar apne KHwabon mein na rakh
aisi baaton se hi wo rahta hai kuchh sahma hua
us ke aage apne honTon ko gulabon mein na rakh
paniyon ke shahr mein har mauj ek sailab hai
dekh apni KHwahishon ko in hababon mein na rakh
sirf lamhati nashon mein dard ki lazzat na DhunD
is tarah madhosh apne ko sharabon mein na rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.