qatra qatra nam miTTi mein
qatra qatra nam miTTī meñ
bo.eñ apne ġham miTTī meñ
ye miTTī hai aur tarah kī
jamte nahīñ qadam miTTī meñ
ye bachche haiñ aur hī Dhab ke
khelte haiñ kam-kam miTTī meñ
ek imkān aur ek andesha
donoñ haiñ bāham miTTī meñ
sachchal sā.īñ kyā takte ho
mil gayā ik 'ālam miTTī meñ
shaah bhaTā.ī kuchh to bolo
kuchh to ho dam-ḳham miTTī meñ
tum bhī ralte dekh rahe ho
bachche aur parcham miTTī meñ
kaisī anokhī fasl uThī hai
apne lahū se nam miTTī meñ
nange sūraj se laḌtā hai
hariyālī kā ġham miTTī meñ
jab bhī koñpal haath hilā.e
dekhūñ nayā janam miTTī meñ
sab ko ik din mil jaanā hai
kyā tum aur kyā ham miTTī meñ
qatra qatra nam miTTi mein
boen apne gham miTTi mein
ye miTTi hai aur tarah ki
jamte nahin qadam miTTi mein
ye bachche hain aur hi Dhab ke
khelte hain kam-kam miTTi mein
ek imkan aur ek andesha
donon hain baham miTTi mein
sachchal sain kya takte ho
mil gaya ek 'alam miTTi mein
shah bhaTai kuchh to bolo
kuchh to ho dam-KHam miTTi mein
tum bhi ralte dekh rahe ho
bachche aur parcham miTTi mein
kaisi anokhi fasl uThi hai
apne lahu se nam miTTi mein
nange suraj se laDta hai
hariyali ka gham miTTi mein
jab bhi konpal hath hilae
dekhun naya janam miTTi mein
sab ko ek din mil jaana hai
kya tum aur kya hum miTTi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.