qatre qatre ko kabhi tarsa na tha
qatre qatre ko kabhī tarsā na thā
maiñ ki dariyā thā koī sahrā na thā
hasratoñ kī jhiil par kohrā na thā
ham-safar sūraj thā maiñ tanhā na thā
chehra chehra thā shanāsā shahr meñ
maiñ kisī kī aañkh kā taarā na thā
pattharoñ ke shahr meñ shīsha badan
maiñ hī thā jo TuuT kar bikhrā na thā
bastī bastī be-hisī kī dhuul thī
ab ke sāvan TuuT ke barsā na thā
chāñdnī kī dhuup thī chāroñ taraf
shahr-e-dil meñ chāñd sā chehrā na thā
us kā chehra hai ki 'nashtar' kī ġhazal
aa.ine par tabsira likkhā na thā
qatre qatre ko kabhi tarsa na tha
main ki dariya tha koi sahra na tha
hasraton ki jhil par kohra na tha
ham-safar suraj tha main tanha na tha
chehra chehra tha shanasa shahr mein
main kisi ki aankh ka tara na tha
pattharon ke shahr mein shisha badan
main hi tha jo TuT kar bikhra na tha
basti basti be-hisi ki dhul thi
ab ke sawan TuT ke barsa na tha
chandni ki dhup thi chaaron taraf
shahr-e-dil mein chand sa chehra na tha
us ka chehra hai ki 'nashtar' ki ghazal
aaine par tabsira likkha na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.