qayam ruh mein kar dhyan se utar ke na ja
qayām ruuh meñ kar dhyān se utar ke na jā
sukūn baḳhsh mujhe yuuñ tabāh kar ke na jā
tamām umr mujhe tishnagī rulā.egī
mire vajūd ke pyāle meñ pyaas bhar ke na jā
kuchh aisā kar ki tujhe chāhtā rahūñ yuuñ hī
sameT ḳhud ko mirī zaat meñ bikhar ke na jā
tire liye to munāsib abhī hai dar-badarī
ki badle badle se tevar haiñ aaj ghar ke na jā
tujhe ġhurūr mujhe ājizī mile 'rāshid'
yuuñ e'tibār ke pindār se guzar ke na jā
qayam ruh mein kar dhyan se utar ke na ja
sukun baKHsh mujhe yun tabah kar ke na ja
tamam umr mujhe tishnagi rulaegi
mere wajud ke pyale mein pyas bhar ke na ja
kuchh aisa kar ki tujhe chahta rahun yun hi
sameT KHud ko meri zat mein bikhar ke na ja
tere liye to munasib abhi hai dar-badari
ki badle badle se tewar hain aaj ghar ke na ja
tujhe ghurur mujhe aajizi mile 'rashid'
yun e'tibar ke pindar se guzar ke na ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.