qayamat se nahin kam us pe aa jaana mere dil ka
qayamat se nahin kam us pe aa jaana mere dil ka
Anwar Nizami Jabalpuri
MORE BYAnwar Nizami Jabalpuri
qayāmat se nahīñ kam us pe aa jaanā mire dil kā
bahut mushkil hai ab āsān honā merī mushkil kā
nigāh-e-yās ne kyā kah diyā qātil se maqtal meñ
taḌaptā hai jo ḳhanjar kāñptā hai haath qātil kā
sukūn-e-dil jo hāsil ho to koī kāmyābī ho
mohabbat tujh pe tohmat hai taḌap jaanā hī bismil kā
musallat hai ḳhamoshī mauj-e-dariyā par ḳhudā rakkhe
mizāj achchhā nazar aatā nahīñ hai aaj sāhil kā
uThā kar sub.h-e-nau ne ruḳh se parda jab nazar Daalī
na jaane zard chehra paḌ gayā kyoñ māh-e-kāmil kā
surāhī ḳhud jhukegī ḳhud chaleñge jaam sar ke bal
badal dūñgā maiñ ab qānūn saaqī terī mahfil kā
vo kyā batlā.egā 'anvar' tujhe rāh-e-talab terī
pata jis ko nahīñ hai aaj tak ḳhud apnī manzil kā
qayamat se nahin kam us pe aa jaana mere dil ka
bahut mushkil hai ab aasan hona meri mushkil ka
nigah-e-yas ne kya kah diya qatil se maqtal mein
taDapta hai jo KHanjar kanpta hai hath qatil ka
sukun-e-dil jo hasil ho to koi kaamyabi ho
mohabbat tujh pe tohmat hai taDap jaana hi bismil ka
musallat hai KHamoshi mauj-e-dariya par KHuda rakkhe
mizaj achchha nazar aata nahin hai aaj sahil ka
uTha kar subh-e-nau ne ruKH se parda jab nazar Dali
na jaane zard chehra paD gaya kyon mah-e-kaamil ka
surahi KHud jhukegi KHud chalenge jam sar ke bal
badal dunga main ab qanun saqi teri mahfil ka
wo kya batlaega 'anwar' tujhe rah-e-talab teri
pata jis ko nahin hai aaj tak KHud apni manzil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.