qayamat thi ki tum guzrin magar sab KHairiyat se hain
qayāmat thī ki tum guzrīñ magar sab ḳhairiyat se haiñ
ye duniyā dost sāthī chārāgar sab ḳhairiyat se haiñ
vahī din kā nikalnā hai vahī phir shaam kā Dhalnā
tumhāre baad bhī shām-o-sahar sab ḳhairiyat se haiñ
tumhārī yaad se raushan mirā ġham-ḳhāna rahtā hai
ujālā raushnī shams-o-qamar sab ḳhairiyat se haiñ
mirā TuuTā huā dil jā-ba-jā ab reza reza hai
rag-e-jāñ pāra-e-qalb-o-jigar sab ḳhairiyat se haiñ
go tum tak jā nahīñ paate tum un ko sun nahīñ pātīñ
vo lekin nāla-hā-e-be-asar sab ḳhairiyat se haiñ
maiñ tum se jhuuT bolūñ yuuñ kahūñ ghar ḳhairiyat hai sab
chalo sab Thiik hai dīvār-o-dar sab ḳhairiyat se haiñ
haiñ ham sab gardish-e-daurāñ ke faulādī shikanje meñ
salīb-e-zīst pe jakḌe bashar sab ḳhairiyat se haiñ
sabaq sad-rā.egānī kā jo āshiq paḌh nahīñ paa.e
haiñ ġhaltīda ba-ḳhūn-e-dil magar sab ḳhairiyat se haiñ
tumhāre baad se duniyā meñ shaffāfī zarā kam hai
riyā-kārī ziyāda hai magar sab ḳhairiyat se haiñ
ye dil tanhā tumheñ kho kar bahut vīrān rahtā hai
galī kūche ye bastī aur nagar sab ḳhairiyat se haiñ
qayamat thi ki tum guzrin magar sab KHairiyat se hain
ye duniya dost sathi chaaragar sab KHairiyat se hain
wahi din ka nikalna hai wahi phir sham ka Dhalna
tumhaare baad bhi sham-o-sahar sab KHairiyat se hain
tumhaari yaad se raushan mera gham-KHana rahta hai
ujala raushni shams-o-qamar sab KHairiyat se hain
mera TuTa hua dil ja-ba-ja ab reza reza hai
rag-e-jaan para-e-qalb-o-jigar sab KHairiyat se hain
go tum tak ja nahin pate tum un ko sun nahin patin
wo lekin nala-ha-e-be-asar sab KHairiyat se hain
main tum se jhuT bolun yun kahun ghar KHairiyat hai sab
chalo sab Thik hai diwar-o-dar sab KHairiyat se hain
hain hum sab gardish-e-dauran ke fauladi shikanje mein
salib-e-zist pe jakDe bashar sab KHairiyat se hain
sabaq sad-raegani ka jo aashiq paDh nahin pae
hain ghaltida ba-KHun-e-dil magar sab KHairiyat se hain
tumhaare baad se duniya mein shaffafi zara kam hai
riya-kari ziyaada hai magar sab KHairiyat se hain
ye dil tanha tumhein kho kar bahut viran rahta hai
gali kuche ye basti aur nagar sab KHairiyat se hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.